Sunday 27 August 2017

badshah ka darbari-rishwat ki saza-ek latifa-darbari latifa-merasi ka latifa jo badsha ke darbar mein gaya-badsha ne inaam mein kaya diya

Ek merasi apni shikayat le kar badsha ke darbar mein gaya to darban sipahi ne use ander na jane diya-lakh koshish ke bawajaood wo ander jane mein kamyab na hova-
akhir us ne ek tarika socha lalach aur rishwat dene ka tarika-
merasi ne darban se kaha; yar mein badhs ko buhat khush karon ga latife suna kar , mujhe jo inaam mile ga mein tum ko us mein se adha inaam de doon ga-darbaan maan gaya-
jab badsha ne use inaam ke liye pocha ke mango kaya chahete ho mango-
to usne kaha badha salamat mujhe 10 das jote mariye-das jote marne ki saza inaam mein dijiye- sab darbari heeran hove ke yeh kaya inaaam mang raha he-
Akhir us ki khawahish par jote lagane ka hukm hova-jab us ne 5 panch jote kha liye to kha thehar jao adha inaam mere sathi ko do- badsha ne kaha bulao is ke sathi ko- to merasi ne sipahi ko awaz di-
sab heraan hove ke yeh is ka sathi kese ho sakta he-to merasi ne sara qissa sunaya ke kis tarah wo sipahi use ander nahain aane de raha tha- tab badsha ne us sipahi ko ek hazar 1000 jote marne ka hukm diya-

Saturday 18 February 2017

YOU NEVER SEEN THESE EYES

ko ba ko phel gai baat shanasai ki

ko ba ko phel gai baat shanasai ki
us ne khusbo ki tarah meri pazerai ki
wo kahain bhi gaya lota to mere pas aya
bas yahi baat thi achi mere harjai ki
kese keh doon ke mujhe chor diya he us ne
bat to sach he magar baat he ruswai ki
ab bhi barsat ki ratoon main badan tootata he
jag uthti hain ajab khahashain angrai ki

Baho aor sussar ki apas main bolchal band thi

Baho aor sussar ki apas main bolchal band thi
Kafi arse baad un ki sulah ho gai
ek din subah subah bahoo ne sassur se pocha 
main ap ko nashte main anda bana doon 
sassur jo abhi tak dil main naraz tha 
jhat bola ,, nai to menoon banda i rehn de

Tuesday 1 March 2016

BABUL MERA PAYARA BABUL. POETRY ON BABULL(FATHER) URDU PUNJABI


Deekh Baabul Terey Aangan Kii Cheeriaan Akelii Roti Hain
Merey Baabul Terey Aangan Mein Paanch Cheeriaan Rehti Theen

Jinhen Waqt Key Paroon Ney Aik Aik Kar K Urayaa Hai
Tuu Ney Apney Hathoon Sey Apna Aashiyaanaa Sajayaa Thaa

Terii Banhoon K Jhooley Mein Apna Bachpan Bitayaa Thaa
Zamaaney Ka Koi Shikaarii Hamarey Pass Na Aaney Paya Thaa

Buhat Sanbhaal K, Chupaa K Tuu Ney Hum Koo Palaa Thaa
Maa , Baap K Pass Hum Parioon Kii Jaisee Theen

Tuu Ney Apney Khoon Paseney Sey Hum Koo Khilayaa Thaa
Maa Tuu Ney Khud Koo Mitaa Kar Hum Ko Banayaa Thaa

Hamen Kisi Cheez Kii Kamii Kaa Ehsaas Aap Dono Ney Na Dilayaa Thaa
Takleef Mein Dono Hamare Lie Taraptey They

Phir Aik Aik Kar K Baabul Tuu Ney Dolii Mein Bethayaa Thaa
Hamen Khushioon Kii Bahaar Miley Dono Ney Chahaa Thaa

Hamen Kabhi Maa,ikey Kii Yaad Naa Aaey
Khushioon Bharaa Aangan Miley

Lakin Dekh Merey Baabul, Aaj Terii Cheeriaan Apney Apney Aangan Mein
Dukh Takleef Mein Rootii Hain, To Koi Un K Sath Nahin Rotaa

Wo Akelii Hee Takleefoon Mein Khud Sey Lartii Hain
Koi Nahin Baabul Jo Hamare Aansuu Poonch Ley

Maa Rooney Koo Terii Goad Chaaheye Hamen
Baabul Roney Koo Teraa Kandhaa Or Sir Pey Teraa Hath Chaheyee Hamen

Dekh Baabul Terey Aangan Kii Cheeriaan Akelii Rotii Hain
Akelii Rotii Hain Buhat Akelii Hoti Hain
****

Babul Ka Yeh Ghar Behna kuch Din Ka Thikana Hai
banake Dulhan Ek Din tujhe Piya Ghar Jaana Hai
baapu Tere Angan Ki main Tho Ek Kali Hoon
is Angan Ko Chor Kyun kiss Aur Ka Ghar Sajana Hai
beti Ghar Babul Ke kissi Aur Ki Amanat Hai
dastoor Duniya Ka hum Sab Ko Nibhana Hai
maiya Tere Anchal Ki main To Ek Gudiya Re
tune Mujhe Janam Diya tera Ghar Kyun Begana Hai
maiya Pe Kya Beet Rahi behna Tu Ye Kya Jaane
kaleje Ke Tukde Ko roh Roh Ke Bhulana Hai
bhaiya Tere Baag Ki main Kaise Chidiya Re
raat Bhar Besara Hai subha Udd Jaana Hai
behna Tere Bachpan Ki yaadei Ham Sab Ko Satayengi
phir Bhi Teri Doli Ko kaandha To Lagana Hai
babul Ka Yeh Ghar Behna kuch Din Ka Thikana Hai
banke Dulhan Ek Din tujhe Piya Ghar Jaana Hai ****
***

mujh se pehli si muhabat mere mehboob na mang

mujh se pehli si muhabat mere mehboob na mang
main ne samjha tha ke tu he tu darakhshaan he hayat
tera gham he tu ghame dehar ka jaghra kaya he
teri sorat se he alam main baharoon ko sabat
teri ankhoon ke siva dunyaan main rakha kaya he

CHOROON KI IQSAAM .. AP KIS TARAH KE CHOOR HAIN

CHOROON KI KAI AQSAAM HOTI HAIN . JO CHOOR KHUD APNE LIYE CHUNTE HAIN YANI WOH APNI PASAND KI CHORI KI QISMMON MAIN  APNE AP KO SHAMIL KARTE HAIN. LEKAN KUCH LOOG CHOOROON KO APNI PASAND KE MYTABIQ NAAM DEETE HAIN. 
YEH NAM WAQT AOR AGE KE LEHAZ SE DIYE JATE HAIN. NOJWAANOON KI SHIKWA HOTA HE KE KISI NE UN KA DILCHURA LIYA HE . AMMER ADMI APNI DOLAT KO CHOOROON SE BACHATE REHTE HAIN . POETS HAZRAAT KO DAR REHTA HE KE UN KA KALAM NA CHOORI HO JAIYE. LEKAN EK CHOORI ESI BHI HE JIS SE KOI BHI NAHAIN DARTA NA HI CHOOR KO KOI SAZA YA BURA BHALA KEHTA HE AOR WOH HE PURANE RISHTOON KI CHOORI. WOH RISHTE JIN KE SATH HAM BACHPAN GUZARTE HAIN. EK GHAR MAIN PARWARASH PATE HAIN . UN KO HAMARI NAI MUHABBATAIN BHULAA DETI HAIN . KISI KO BIVI IN RISHTOON SE DOOR KAR DEETI HE KISI KO KHAWAND KISI KO JOBB AOR KISI KO MAJBOORI.
HAM MAIN SE KITNE LOOG HAIN JO KISI KI BEHAN KO CHEEN LETE HAIN KISI KE BHAI KO AOR MAAN BAAP KO TO KOI POCHTA HI NAHAIN. HAM SAB LOOG SHADI KE BAAD APNE PURANE AOR PAKKE RISHTE KAYOON BHOOL JATE HAIN