Sunday 27 August 2017

badshah ka darbari-rishwat ki saza-ek latifa-darbari latifa-merasi ka latifa jo badsha ke darbar mein gaya-badsha ne inaam mein kaya diya

Ek merasi apni shikayat le kar badsha ke darbar mein gaya to darban sipahi ne use ander na jane diya-lakh koshish ke bawajaood wo ander jane mein kamyab na hova-
akhir us ne ek tarika socha lalach aur rishwat dene ka tarika-
merasi ne darban se kaha; yar mein badhs ko buhat khush karon ga latife suna kar , mujhe jo inaam mile ga mein tum ko us mein se adha inaam de doon ga-darbaan maan gaya-
jab badsha ne use inaam ke liye pocha ke mango kaya chahete ho mango-
to usne kaha badha salamat mujhe 10 das jote mariye-das jote marne ki saza inaam mein dijiye- sab darbari heeran hove ke yeh kaya inaaam mang raha he-
Akhir us ki khawahish par jote lagane ka hukm hova-jab us ne 5 panch jote kha liye to kha thehar jao adha inaam mere sathi ko do- badsha ne kaha bulao is ke sathi ko- to merasi ne sipahi ko awaz di-
sab heraan hove ke yeh is ka sathi kese ho sakta he-to merasi ne sara qissa sunaya ke kis tarah wo sipahi use ander nahain aane de raha tha- tab badsha ne us sipahi ko ek hazar 1000 jote marne ka hukm diya-

No comments:

Post a Comment